BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA
Khusiyo ka khazana hota tha.
Chahat chaand ko pane ki,
Dil titli ka diwana hota tha.
Khabar na thi kuch subeh ki,
Na shaamo ka thikana hota tha,
Thak-haar k aana school se,
Par khelne b jana hota tha,
Dadi ki kahani hoti thi,
Pariyo ka fasana hota tha,
Barish me kagaz ki kasti thi,
Har mausam suhana hota tha,
Har khel me sathi hote the,
Har rishta nibhana hota tha,
Papa ki wo daate galti par,
Mummy ka manana hota tha,
Gum ki juban na hoti thi,
Na jakhmo ka paimana hota tha,
Rone ki wajah na hoti thi,
Na hasne ka bahana hota tha,
Ab nahi rhi wo zindgi…..
Jaisa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.