Posted on Leave a comment

Zindagi Ka Fasana

Zindagi Ka Fasana

khuli jo ankh tou woh thaa na woh zamana thaa,
Dehkti aag thee tanhaayi thee fasana thaa,
Gamon ney baant liya mujhe yuun aapas mein,
Kay jaisay main koi loota hua khazana thaa,
Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,
Tumhein tou saath mera duur tak nibhana thaa,
Mujhe jo merey lahoo mein dubo kay guzra hai,
Woh koi gair nhin yaar ek poorana thaa,
Khud apney hee haath say uss ko kaat diya,
Kay jiss darakht kee tehni pay ashiyaana thaa,
Posted on Leave a comment

Aaj badi tanhai hai

Aaj badi tanhai hai 

Aaj bouhat hai pani barsa aaj badi tanhai hai

Aise me kiyoin aye jaane tamnna yaad tumhari ayi hai

Kaise dil ke dard sahe kaise ashk aankhon se kahen

Abhi to dil ke zakham naye hain ispar ye purwayi hai

Tees hai dil me dard jigar me aankhen nam our tanhai hai

Is liye bina kuch likhe hi kora kagaz bheja hai

Khat ko agar koi padhlega is me ham dono ki ruswai hai

Posted on Leave a comment

Aisa Kyun Hota Hai

Aisa Kyun Hota Hai

Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyu Hota Hai

Chalte Chalte Kadam Ruk Jate Hai
Jaise Koyee Awaaz De Raha Hota Hai
Chehra To Nazar Nahin Ata Hai
Lekin Kisi Ka Ehsas Wahan Hota Hai

Apnoo Ki Mehfil Me Begana sa Lagta Hun
Sub Ke Hote Hue Dil Na Jane
Kisi Ko Doondh Raha Hota Hai

Koyee To Bataye Aisa Kyun Hota Hai
Koi To Bataye Aisa Kyu Hota Hai

Kya Samjoon Is Dewane Pan Ko Main
Jo Her Lamha Mujhko Pagal Ker Raha Hota Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyun Hota Hai
Koi To Bataye Aisa Kyun Hota Hai
Aisa Kyun Hota Hai

Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyun Hota Hai

Posted on Leave a comment

Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey

Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey

Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey
Pathar Ho Muqabil To Thehar Kyun Nahin Jatey

Is Shehar Ke Jugnoon Bhi Chalavay Hain Nazar Ke
Phir Log Sar-E-Shaam Hi Ghar Kyun Nahin Jatey

Tum Nay To Giraya Hai Mujhay Apni Nazar Say
Tum Meri Nighaon Say Utar Kyun Nahin Jatey

Mar Mar Ke Jiye Jatey Hain Sadkon Ke Kinarey
Marna Hi Zaroori Hai To Mar Kyun Nahin Jatey

Mohsin Ko Hi Maatoob Kia Jata Hai Aksar
Ilzaam Kabhi Us Ke Bhi Sar Kyun Nahin Jata

Posted on Leave a comment

Dard Bhari Ghazal

Dard Bhari Ghazal


fir karne laga hisaab zindagi ka
ye bhi ek zariya he tumhe yaad karne ka
yaado ki khaak me dhund raha tha ek hasi
aankh se bhi jo tapka to ek katra….dard ka

kyu ye dil teri yaad me tadpta he
kyu tere tassavur me hi duba rehta he
jo kiya hi nahi tha vaada tumne milne ka
fir najane karta he ye gumaan kis baat ka

har baat pe muskura dete the tum
har sher pe kehte the janab aadaab
kya samjhe bhi the matlab mere jazbaato ka
ya wo bhi ek jalwa tha teri bewafaii ka

kyu me karu yakeen tujh par kyu me karu aitbaar tera
gar meri he to aaja phir ya chod de khyaal mohabbat ka

ab to milegi mohabbat hume ya rukh hoga mehkhane ka
ya tera saath hoga zindagi me ya sahar hoga teri yaado ka

Posted on Leave a comment

Mujhe Azmane Wale

Mujhe Azmane Wale

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye

Posted on Leave a comment

Dard Bhari Ghazal…

Dard Bhari Ghazal…

aansou ko mai ne rok liya jo teri yaad mai behte the,
woh taaj mehal tod diya jis mai hum tum rehte the,
kyu na nibha suka mera saath jab pyaar kiya,
hum pyaar mai had se guzar jaaye ghe tum aksar kehte the,
mera dil koi khilona to nahi tha kyu ise toda?
Hum ko tum se pyaar tha isie liye to zulm sehte the,
woh supne jo mai ne or tum ne dekhe the,
woh haseen baghou mai jaan jaha phool mehekte the,
woh umar bhar ek dousre se kiye jaane waale vaade,
woh pyaar ki mithi mithi baaten woh kusme jo hum lete the,
hum ko pyaar aap se tha aap ko shayed kisi or se,
jab bhi mai apnane ka kehti tum taalte rehte the,
lekin ab hum ne dil ke darwaze par taalalaga dya,
ab waha koi nahi rehta jaha tum rehte the…
Posted on Leave a comment

Haq ke saath kahoon tumhe main apna

Haq ke saath kahoon tumhe main apna


Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon