Posted on Leave a comment

Sard mausam ka maza kitna alag sa hai

Sard mausam ka maza kitna alag sa hai

Sard mausam ka maza kitna alag sa hai,
Tanha raat mein intazaar kitna alag sa hain,
Dhund bani naqab, aur chupa lia sitaron ko,
Unki tanhaai ka ab ehsas kitna alag sa hai..!

Posted on Leave a comment

Jab Jab Mein Leta Hoon Saans Tu Yaad Aati Hai

Jab Jab Mein Leta Hoon Saans Tu Yaad Aati Hai

Jab Jab Mein Leta Hoon Saans Tu Yaad Aati Hai,
Meri Har Ek Saans Mein Teri Khushbu Bas Jaati Hai,
Kaise Kahu Tere Bina Mein Jinda Hoon,
Kyunki Har Saans Se Pehle Teri Yaad Aati Hai…

Posted on Leave a comment

Aasmaan ke taare aksar pucha karte hain(Shayari)

Aasmaan ke taare aksar pucha karte hain

Aasmaan ke taare aksar pucha karte hain,
kiya tumhe ab bhi intezar hain uske laut aane ka?
aur dil muskura ke kehta hain..
mujhe to ab bhi yakeen nahi uske jaaney ka……

Posted on Leave a comment

Kaun hai vo…..?

Kaun hai vo…..?

Hume nahi pata tha, koi iss kadar hume bhi chahta hai
Humare intezar me apne palkein bichata hai
Humari khushiyan unke liye sab kuch hai
Humare dard pe jo qahar sa jata hai

Kaun hai vo…..?

Hume ilm hai shayad unhe mohabbat hai humse
Na shikva, na shikayat, bas ibadat hai humse
Kaise hai vo, kya naam hai unka
Jinki itni inayat hai humpe

Kaun hai vo…?

Humari nabz pata hoti hai unhe
Jinki maujudgi dil samajh nahi pata hai
Shayad unse chahat si hone lagi hai
Jinki oor dil khinchta hi chala jata hai
Kaun hai vo…..?