Karavan guzra kiya hum rahaguzar dekha kiye
har qadam par naqsh-e-pa rahabar dekha kiye
yas jab chai ummiden hath mal kar reh gain
dil ke nabazen chut gayin aur charagar dekha kiye
rukh meri janib nigah-e-lutf dushman ke taraf
yun udhar dekha kiye goya idhar dekha kiye
dard mandan-e-vafa ke haye re majaburiyan
dard-e-dil dekha na jata tha magar dekha kiye
tu kahan thi ae ajal ae namuradon ke murad
maranevale reh teri umar bhar dekha kiye
Category: India Shayai
Dushman bhi pesh aaye hai dildar ki tarah,,
Dushman bhi pesh aaye hai dildar ki tarah,,
Nafrat milee hai unse mujhe pyaar ki tarah.
Kaise milenge chanhne wale bataiye,
Duniya khadi hai rah mein deewarki tarah.
Woh bewafai kar ke bhi sharminda na hue,
Sooli pe hum chadhe hai gunahgar ki tarah.
Toofon mein mujh ko chod kar woh log chal diye,
Sahil pe they jo sath mein patwar ki tarah.
Chehre pe hadsoo ne likheen woh ibaratein.
Padhane laga har koi mujhe akhbar ke tarah.
Dushman bhi hoo gaye hain maseeha sifat Jamal
Milte hain toot kar woh gale yaar ki tarah.
Dushman bhi….
Kisi ke dil mein basna bura to nahi
Kisi ke dil mein basna bura to nahi
Kisi ko dil mein basana khata to nahi
Hain ye zamane ki nazar me bura to kiay hua
Zamane wale bhi insan hai khuda to nahi
Hum nahi jante gharwale batate hai
Tanhaiyo me aksar waqt barbad kiya karte hai,
Hum bhi har pal apko yaad kiya karte hai,
Hum nahi jante gharwale batate hai,
Hum to nendo me bhi apka naam liya krte hai.
Hai liye hathyaar dushman taak mein baitha udhar,
Hai liye hathyaar dushman taak mein baitha udhar,
Aur hum tayaar hai seena liye apna idhar,
Khoon se khelenge holi gar watan mushkil me hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai,
Dekhna hai zor kitna baju e katil me hai.”
“Haath jin me ho junoon katate nahi talwar se,
Sar jo uth jate hai wo jhukte nahi lalkaar se,
Aur bhadke ga wo shola sa hamare dil me hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai.”
“Hum to ghar se nikale hi the bandh kar sar pe kafaan,
Jaan hateli par liye lo kar chale hai ye kadam,
Zindagi to apni mehmaan mout ke ke mehfiil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai.”
“Dil mein toofano ki doli aur naso mein INQUILAB,
Hosh dushman ke udaa denge hame roko na aaj,
Duur reh paye jo humse dum kaha manjil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai.
Dekhna hai zor kitna baju e katil me hai.”
Dil ka Dard
Zindagi mita kar humari nai duniya saja rahi hai vo….
ek bewafa ka liya hume bhula rahi hai vo….
logo ka taano se bachna ka liya apna chehra jhupa rahi hai vo….
mita kar zindagi humari nai duniya basa rahi hai vo…
Kal Jo Apne Thhe Woh Begane Nazar Aate Hain
Kal Jo Apne Thhe Woh Begane Nazar Aate Hain
Dil Badalte Hain To Chere Bhhi Badal Jate Hain
Tum Bhhi Wohi Ho Yeh Dil Bhhi Wohi Hai
Chera Sajaya To Kiyaa Daman Churaya To Kiya
Cheray The Tum Ne Tarane Jo Dil K
Gaati Hay Ab Bhi Fazaa Deti Hay Tum Ko Sada
Zehar Bhara Jaam Hay Yeh Moun Se Na Lagana
Duniya Hay Bewafa Yeh Duniya Hay Bewafa
Pyaar Bhi Dhokha Mohabbat Bhi Dhokha
Dhokha Hay Chahat Yahan Sajti Hay Surat Yahan
Apne Bhi Joothe Yeh Sapne Bhi Joothe
Joothi Hay Rahat Yahan Joothi Haqeqat Yahan
Khuwaab Sabhi Tuut Gaye Arye Aansu Kiya Bahana
Badalte Log
log yahan kapdon ki tarah, humsafar badalte hain
khuda bhi dang reh jaye , aise rang badalte hain
kiske dil mein kya hai,kise pata hai
dil lagaya jo kisi se ,to yeh tumhari hi khata hai
saraye ki tarah inke dil ke mehmaan badalte hain
mausam se pehle inke dil ke armaan badalte hain
insaanon ki yahan kya ahmiyat hai
jazbaton ki yahan kya aukat hai
kapat se bhari inki niyat hai
chchal se bhari inki har baat hai
bhatakte musafir ki tarah inke thikane badalte hain
yeh to har pal yahan apne jeene ke man badalte hain
Aansuon ko bahut samjhaya ki tanhayi mein aaya karo,
Aansuon ko bahut samjhaya ki tanhayi mein aaya karo,
mehfil mein aaake humara mazaak na udaaya karo,
is par aansun tadap kar bole,
itne logon mein aapko tanha paate hain isliye chale aate hain.
Hamsafar
mujhe kya pata tha ki tu meri
takdeer mein nahin hai,
varna haath ki lakeeroin mein
teri bhi ek lakeer bana lete
tu mujhe nahin mili,mili hoti to,
sari duniya ko apna pyar dikha dete
na jane kab aakar tu nikal gai,
hum to teri rah dekhte reh gai
tute sheeshe ke har tukde mein
tujhe talaasa tu na milli,
hum to sirf tukde ginte reh gai.