tumhari chhoti se chhoti baat
bhi bhulti nahi
yaad hai jo dil se jati nahi
apni yaadon se keh do
is tarhan se tang na karein
raat guzar jati hai or neend aati nahi
zindagii kat gaye manaate huye
ab iraadaa hai ruuthe jaane kaa
un ke dekhe se jo aa jaatii hai muuNh pe raunaq
vo samajhate hain ki biimaar kaa haal achchhaa hai
kam se kam maut se aisii mujhe ummiid nahi
zindagii tuu ne to dhoke pe diyaa hai dhokaa
hamako un se vafaa kii hai ummiid
jo nahin jaanate vafaa kyaa hai
kahate hain jiite hain ummiid pe log
ham ko jiine kii bhii ummiid nahii.
jiss dil mein basa tha pyar tera
uus dilko kabhi ka tod diya
badnaam na hone denge tujhai
tera naam hi lena chod diya
ciagrette jalaya tha teri yaad bholne ke liye
par khambakhat duwein ne bhe teri tasveer bana dale
ujaale apanii yaadon ke hamaare saath rahane do
na jaane kis galii mein zindagii kii shaam ho jaaye
tere ishq mein kahen mar na jawon
mujhe azmane ke khoshish mat kar
tumhari baat lagti hai mujhe teer,
nigaah ka kaam lete ho zubaan se,
nazar par kyun chadha kar mujhko patka,
giraya kyun zameen par ,asmaan se,
unhein jiss baat se thi sakht nafrat,
wahi baat nikali zabaan se.
Na shikwa karenge kisi se ab,
Na dard apna dikhayenge,
Tere diye dard ke saath hi,
Ab hum muskurayenge.
Tu kar le laakh koshish,
Par ab na tootenge hum,
Khushiyon se sajayi hai mehfil,
Ab door bhaag jaayenge gham.
Teri zaroorat nahi ab mujhe,
Teri yaad hi qaafi hai,
Meri soti huii raaton ke liye,
Tera ehsaas hi kaafi hai.
Ja duur ja mujhse,
Phir na waapas aana kabhi,
Aana toh aise ki,
Duur na jaana kabhi.
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak,
Jaate hue rota woh mujhe chhod gaya tha.
Armaano ki Duniya ke anmol se sapne,
Pal main woh mere saamne sab tod gaya tha.
Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi,
Besabab Duniya se meri rukh mod gaya tha.
Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi,
Hamraah Saare ghamon se rishta mera jod gaya tha.
Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche,
Yahan kis ke sahare pe mujhe chhod gaya tha.