Posted on Leave a comment

Nazar se nazar mila ke yeh kaisa hua hai aashar…

Nazar se nazar mila ke yeh kaisa hua hai aashar…

Nazar se nazar mila ke yeh kaisa hua hai aashar,
Shayad hame lagta hai ki hame bhi hua hai pyar ka aashar,
Chahat ka hum pe yeh keisa hua hai aashar,
Aab kaise katenga unke bina hamari zindgi ka yeh safar.

Posted on Leave a comment

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA

Khusiyo ka khazana hota tha.
Chahat chaand ko pane ki,
Dil titli ka diwana hota tha.
Khabar na thi kuch subeh ki,
Na shaamo ka thikana hota tha,
Thak-haar k aana school se,
Par khelne b jana hota tha,
Dadi ki kahani hoti thi,
Pariyo ka fasana hota tha,
Barish me kagaz ki kasti thi,
Har mausam suhana hota tha,
Har khel me sathi hote the,
Har rishta nibhana hota tha,
Papa ki wo daate galti par,
Mummy ka manana hota tha,
Gum ki juban na hoti thi,
Na jakhmo ka paimana hota tha,
Rone ki wajah na hoti thi,
Na hasne ka bahana hota tha,
Ab nahi rhi wo zindgi…..
Jaisa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.

Posted on Leave a comment

jo der se akar bhi woh muskara rahe hai …

jo der se akar bhi woh muskara rahe hai …

Woh jante hai ki hum unke intezaar mein hai
isliye shayad woh der laga rahe hai
waqt kat-ta nahin unke bina hamara
yeh jante huve bhi hame sata rahe hai
na jane kya milta hai unhe hame yun sata kar
jo der se akar bhi woh muskara rahe hai …