Tu mil k b naa mila,
Tujhey paa k b naa paaya,
Main toh adhoori reh gayi,
Tera sayaa jab nazar naa mujhe aaya!
Category: sad sayari
Iss behte dard ko mat roko
Iss behte dard ko mat roko,
Yeh to saza hai kisi ke intezar ki
Log inhe aansu kahe ya deewaangi,
Par yeh to nishani hai kisi ke pyaar ki
Koi subah aati hai tumhari yaad lekar
Koi subah aati hai tumhari yaad lekar,
Koi shaam jati hai tumhari yaad dekar,
Hamein to us subah ka intezaar hai,
Jo aaye tumhein saath lekar
Na wo aa sake na hum
Na wo aa sake na hum
Kabhi ja sake na dard dil ka,
Kisi ko suna sake bus baithe
hai yadon me lekar aas unki,
Na unhone yaad kiya or
na hum unko bhula sake.
Jaanedo meri kashti ko
Jaanedo meri kashti ko ab tufaan ki parwah kaun kare,
Ek din to hai jaana hi is jaan ki parwah kaun kare,
Ishq ki manzil pe aake kya dekhte ho aage peeche,
Hai kaam musaafir ka chalna saaman ki parwah
koun kare..
Zindagi ne bhi kya rang dikhlaya hai
Zindagi ne bhi kya rang dikhlaya hai,
Mohabbat usne ki thi saza humne paya hai,
Hum to jhumte hai uski yaadon mein,
Magar zamana kehta hai ki dekho aaj phir pikar aaya hai..
Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri
Ishq-a-bewafai ne daal di hai aadat buri,
Main bhi sharif hua karta tha is zamane mein,
Pehle din shuru karta tha masjid mein namaaz se,
Ab dhalti hai shaam sharab ke sath mehkhane mein.
Is se zyada kisi ka intezar kya karte..
Woh kareeb hi nahi aaye to izhar kya karte,
Khud bane nishana to shikar kya karte,
Mar gaye par khuli rahi aankhein,
Is se zyada kisi ka intezar kya karte..
Dubne Lage To Hosh Aaya
Mohabbat Ki Kashti Mein Sawar The Hum,
Socha Tha Pahunch Jayege Chahat Ke Gaun Mein,
Dubne Lage To Hosh Aaya,
Hum To Baithe Hi The Kagaz Ki Naav Mein.
Mohbbat Ek Haqiqat nahi Dhokha Hai
Mohbbat Ek Haqiqat nahi Dhokha Hai,
Is Mein Har Insan Rota Hai,
Kya Mila Yaaron Kisiko Pyar Karke,
Jisne Nahi Ki Mohabbat,
Woh Bhi Kisiki Dastan E Gham Sun Ke Rota Hai..