Posted on Leave a comment

kajal ki tarah

kajal ki tarah

jo meri aankh main rehti ti kajal ki tarah
Aaj kajal jo lagaya to bahot yaad aayi
Aahat hoi to samje keh hogai muraad puri
darwaza khola usko na paya to bahot yaad aayi
har waqt rehti ti Dil mai dharhkan ban kar
Aaj paani ban ke aankh mai aayi to bahot yaad aayi
Sar-e-shaam se muntazir tha uski surat ko nigahain
wo raat gai tak na aayi to bahot yaad aayi
Aaj barson baad rote rote meri aankh lag gai
Us ke khuab ne achanak jo jagaya to bahot yaad aaye 

Posted on 1 Comment

Kuch baatein bhooli hui

Kuch baatein bhooli hui

Kuch baatein bhooli hui,
kuch paal beete hue,
har galti ka ek naya bahana,
aur fir sabki nazar mein aana,
exam ki puri raat jaagna,
fir bhi sawal dekh kaar sar khujlana,
mauka mile to class bunk marna,
fir dosto kay saat coffee pine jaana,
uski ek jhalak dekhne roz school aana,
dekhte dekhte attendance bhul jana,
har pal ek naya sapna,
aaj jo tute fir bhi hai apna
vo school ke din ,
yaad kar ke in palon ko fir zindgi bhar muskurana!!!!!!!!