to kya jiya !!!
jiya past hausalon sng to kya jiyaa
jiya bujhti asaon sng to kya jiya
jiya past hausalon sng to kya jiyaa
jiya bujhti asaon sng to kya jiya
na utra khara kisi ki umeedo par
jiya maar kar tu insaniyat to kya jiya
thopta raha har ek faisa gar waqt ke haath
jiya buzdilon sa ta-umra to kya jiya
jhukaata raha sar apna samjh kar rahnuma sabhi ko
jiya bech kar zameer apna to kya jiya
maat ke putlon ke aage failaata raha haath hardum
jiya samjh kar khuda insaan ko to kya jiya
berukh hua riston se jinki khateer sarfire
jiya gairon sang bulaakar apno ko to kya jiya