Posted on Leave a comment

Tum jaa to rahe ho

Tum jaa to rahe ho

Tum jaa to rahe ho par itna to bata do
Is dil se kya kahu isse kaise samjau
Iske tootne ki awaaz to na ayegi tumhe
Par uske tukdo ko le kar main kaha jau.

Tum jaa to rahe ho par itna to bata do
Un yaadon ka main kya karu
Tumhare likhe khaton ko main kahan jalau
Kise baar baar satau kise manau.


Tum jaa to rahe ho par itna to bata do
Meri siskiyo mein bhi tumhara hi naam hai
In ashko ko main kaha chupau
Tum shumaar ho abhi tak parda nasheeno mein.

Log sabab puchenge to bolo main kya batau
Tum jaa to rahe ho par itna to bata do
Tujhe bhulane ke kaun se tareeke apnau

Meri dhadkan, har saans ki rawangi ho tum
Tujhe bhoolane ki koshish mein kahi mar na jau.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *