Tut kar Chaahte ho Mujhko
Wo kehte hain mujhse pyar krna Tumhein nahi aata,
Baat to sahi hai Unki agar aata pyar krna
toh yun lut na jaata mein pyar me..
Wo kehte Tumhein Rishte nibhaana nahi aata,
Sahi kehte hain wo agar janta rishte nibhaana
toh yun Tumhein Kisi aur ki hone na deta mein..
Wo kehte hain Raghav kyun nahi samajh paate ho
Tum baaton ko meri,
Mein kehta hun agar samajh paata toh shaayad
Tumse is kadar Dil naa lgaata..
Wo kehte hain kyun Tum iss kadar Tut kar Chaahte ho Mujhko,
Mein kehta hun Unse ki “Mera is kadar Tumhein Chaahna gawaara nahi shaayad
Tumhein isi liye ek ek tukda Tumne Toda mere Dil ka hans hans kar….