Posted on Leave a comment

Unhein Hui Nafrat Sare Jahan Se

Unhein Hui Nafrat Sare Jahan Se

unhein nafrat huii sare jahan se,
nayii duniya koi laye kahan se,

tumhari baat lagti hai mujhe teer,
nigaah ka kaam lete ho zubaan se,

nazar par kyun chadha kar mujhko patka,
giraya kyun zameen par ,asmaan se,

unhein jiss baat se thi sakht nafrat,
wahi baat nikali zabaan se.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *